Songtexte.com Drucklogo

Tera Yaar Hoon Main (From “Sonu Ke Titu Ki Sweety”) Songtext
von Arijit Singh

Tera Yaar Hoon Main (From “Sonu Ke Titu Ki Sweety”) Songtext

Tu jo rootha toh kaun hansega?
Tu jo chhoota toh kaun rahega?
Tu chup hai toh ye dar lagta hai
Apna mujhko ab kaun kahega?

Tu hi wajah, tere bina
Bewajah, bekaar hoon main

Tera yaar hoon main
Tera yaar hoon main

Aaja, ladein phir khilaunon ke liye
Tu jeete, main haar jaaun
Aaja, karein phir wahi sharaaratein
Tu bhaage, main maar khaaun

Meethi si woh gaali teri
Sunne ko taiyaar hoon main

Tera yaar hoon main
Mm, tera yaar hoon main
Tera yaar hoon...


Sajna de rang rangaaiyaan ve
Shagna diyaan shehnaaiyaan ve
Dhol wajange, yaar nachange
Lakh-lakh deo badhaaiyaan ve

Khushiyaan′ch nachda main phiraan
Hanjuaan toh bachda main phiraan

Oh, jaate nahin kahin rishte puraane
Kisi naye ke aa jaane se
Jaata hoon main toh mujhe tu jaane de
Kyun pareshaan hai mere jaane se?

Toota hai toh juda hai kyun?
Meri taraf tu muda hai kyun?
Haq nahin tu ye kahe ki
Yaar ab hum na rahe

Ek teri yaari ka hi
Saaton janam haqdaar hoon main

Tera yaar hoon main
Tera yaar hoon main
Tera yaar hoon main
Tera yaar hoon main

Songtext kommentieren

Log dich ein um einen Eintrag zu schreiben.
Schreibe den ersten Kommentar!

Quiz
Wer singt das Lied „Haus am See“?

Fans

»Tera Yaar Hoon Main (From “Sonu Ke Titu Ki Sweety”)« gefällt bisher niemandem.