Songtexte.com Drucklogo

Aazaad Songtext
von Samar Mehdi

Aazaad Songtext

Ye ummeedon mein kya dhal raha hai?
Ke dil ka mausam badal raha hai
Khul gaya aasmaan!
Main aazaad hoon

Haan, main aazaad hoon
Haan, main aazaad hoon


Ab na roko ke mai.n chal chuka hoon
Ke girte girte sambhal chuka hoon
Ae! Mushkilon, suno!
Main aazaad hoon

Haan, main aazaad hoon
Haan, main aazaad hoon

Aaj main aazaad hoon, to ye tay ho gaya
Aaj main aazaad hoon, saj gayi kahkashaan!
Aaj main aazaad hoon, goonjti hai fiza!
Aaj main aazaad hoon, khul gaye baadbaan
Aaj main aazaad hoon, to ye tay ho gaya

Songtext kommentieren

Log dich ein um einen Eintrag zu schreiben.
Schreibe den ersten Kommentar!

Fans

»Aazaad« gefällt bisher niemandem.