Songtexte.com Drucklogo

Tum Bin Jiya (Grooverider Dub) Songtext
von Bally Sagoo

Tum Bin Jiya (Grooverider Dub) Songtext

Tum bin jiya udaas, sajna, aaja mere paas
Tum bin jiya...

Chaand ki aas chakori ko, mujhko teri aas

Paagal aankhein har ek shay mein, sajna, tujhko dhundhe

Tum bin aag lagaye dil mein ye saawan ki boondein

Tu jo nahi to man na bhaaye in phoolon ki baas
Tum bin jiya...

Tum bin jiya udaas, sajna, aaja mere paas
Tum bin jiya...

So gaya chanda, so gaye taare, so gayi duniya saari

Ab tu aaja sang-dil, sajna, tu jeeta, main haari

Lamha-lamha badhti jaaye in ankhiyon ki pyaas
Tum bin jiya...

Tum bin jiya udaas, sajna, aaja mere paas
Tum bin jiya...

Toote gaye hain tik-tik karke saare sundar sapne

Begaane to begaane the, tum bhi rahe na apne

Dil bhi haara, jaan bhi fida ki, per na aaya raas
Tum bin jiya...

Tum bin jiya udaas, sajna, aaja mere paas
Tum bin jiya...

Chaand ki aas chakori ko, mujhko teri aas
Tum bin jiya...

Tum bin jiya udaas, sajna, aaja mere paas
Tum bin jiya...
Tum bin jiya udaas, sajna, aaja mere paas
Tum bin jiya...

Tum bin jiya udaas, sajna, aaja mere paas (chaand ki aas chakori ko)
Tum bin jiya... (mujhko teri aas)

Tum bin jiya udaas, sajna, aaja mere paas
Tum bin jiya...
Tum bin jiya udaas, sajna, aaja mere paas
Tum bin jiya...

Tum bin jiya udaas, sajna, aaja mere paas
Tum bin jiya...
Tum bin jiya udaas, sajna, aaja mere paas
Tum bin jiya...

Songtext kommentieren

Log dich ein um einen Eintrag zu schreiben.
Schreibe den ersten Kommentar!

Beliebte Songtexte
von Bally Sagoo

Fans

»Tum Bin Jiya (Grooverider Dub)« gefällt bisher niemandem.