Songtexte.com Drucklogo

Aaftab Songtext
von The Local Train

Aaftab Songtext

Khamosh bheed mein phir ho khadey gumshuda
Maujuud ho yahaan yaa gum kaheen kisko pataa
Jab lagey har ghadi ki ab iss raat ki na hai subah koi
Kar yakin, dekh tu ki aaftab woh hasin hai chhupa yahin-kahin

Chehre mein tere band woh kitne sawaal
Puchte khushi ka pata, baaki abhi imtihaan
Hai agar raah-guzar par gehra andhera, mahtaab so chuka
Kar yakin, humnashin, ki aaftab woh hasin hai chhupa yahin-kahin


Kahin door shor se ek naya daur hai
Mohtaaj na kisi ke, na puche koi tera naam
Khile jahaan bas khushi, falsapha bas yahi
Tu kar yakin

Jab lagey har ghadi ki ab iss raat ki na hai subah koi
Kar yakin, dekh tu ki aaftab woh hasin hai chhupa yahin-kahin

Kahin door shor se ek naya daur hai
Mohtaaj na kisi ke, na puche koi tera naam
Khile jahaan bas khushi, falsapha bas yahi
Tu kar yakin

Songtext kommentieren

Log dich ein um einen Eintrag zu schreiben.
Schreibe den ersten Kommentar!

Beliebte Songtexte
von The Local Train

Fans

»Aaftab« gefällt bisher niemandem.