Songtexte.com Drucklogo

Zinda Songtext
von Strings

Zinda Songtext

Ye hai mari kahani, khamosh zindgaani
Sannata kah raha hai, "kyon julm sah raha hai?"
Ek daastaan purani tanhaai kii zubaani
Har zakhm khul raha hai, kuch mujh se kah raha hai

Chubte kaante yaado ke daman se chinta huun
Girti deewaaron ke aanchal main zindaa huun

Bas ye mari kahani, be nishaan nishani
Ek dard bah raha hai, kuch mujh se kah raha hai

Chubte kaante yaado ke daman se chinta huun
Girti deewaaron ke aanchal main zindaa huun


Bajaay pyaar kii shabnam meree gulsitaan main
Barasate rahate hain har sumit mout ke say
Siyaahiyon se ulajh padati hain mari aankhen, koi naheen
Hai koi bhi naheen jo batalaaye
Main kitanii der ujaalon kii raah dekhun gaa, koi naheen
Hai koi bhi naheen na pas, na daur
Ik yaar hai, dil kii dhadkan

Apni chahat kaa jo elaan kiye jaati hai
Zindagi hai jo jiye jaati hai
Khoon ke ghunt piye jaati hai
Khwaab kaanton se...
Khwaab kaanton se siye jaati hai

Ab na koi pas hai, fir bhi ehasaas hai
Siyaahiyon main ulajhi padi jeene kii ik aas hai
Yaado kaa jangle ye dil, kaanton se jal thal ye dil

Chubte kaante yaado ke daman se chinta huun
Girti deewaaron ke aanchal main zindaa huun

Chubte kaante yaado ke daman se chinta huun
Girti deewaaron ke aanchal main zindaa huun

Songtext kommentieren

Log dich ein um einen Eintrag zu schreiben.
Schreibe den ersten Kommentar!

Beliebte Songtexte
von Strings

Fans

»Zinda« gefällt bisher niemandem.