Songtexte.com Drucklogo

Najane Kyun Songtext
von Strings

Najane Kyun Songtext

Dekho, kaise parvat se baaadal gaye
Barsenge yeh ab kahaan?
Dekho, kaise phoolon se khushbu gayi
Mahkegi yeh ab kahaan?

Sukh ban gaye sapne
Sab kho gaye apne

Dil bujh gaya, ghar jal gaya
Na jaane kyun, na jaane kyun
Yaadon ka phir aanchal uda
Na jaane kyun, na jaane kyun
Na jaane kyun, na jaane kyun


Dekho, kaise haathon se jugnu gaye
Chamkenge yeh ab kahaan?

Kyun so gayin shaamein?
Kat na sakiin raatein

Dil bujh gaya, ghar jal gaya
Na jaane kyun, na jaane kyun
Yaadon ka phir aanchal uda
Na jaane kyun, na jaane kyun
Na jaane kyun, na jaane kyun

Dekho, kaise parvat se baaadal gaye
Barsenge yeh ab kahaan?
Dekho, kaise phoolon se khushbu gayi
Mahkegi yeh ab kahaan?

Songtext kommentieren

Log dich ein um einen Eintrag zu schreiben.
Schreibe den ersten Kommentar!

Beliebte Songtexte
von Strings

Fans

»Najane Kyun« gefällt bisher niemandem.