Songtexte.com Drucklogo

Kanoon Songtext
von Shikriwal

Kanoon Songtext

Tere zehar ke hue hum aadi
Ke barbaadi mein mile samadhi
Ye mardo ka shauk hai shayad
Tere ishq mein duniya jala di
Saare mareez dil de
Saare mareez dil de

Kanoon kaayde niyam
Anushaasan dharm adhiniyam
Kya pehle se kam hai jo tum ek aur leke aayi ho?

Azaadi ki talaash mein gum hoon main
Tum bandhanon ki numaish ho
Aur bandhanon ka mazaa samjha rahi ho

Alvida keh diya logon ne
Ghar lautne jaaun, iss zidd pe aa gayi ho

Tumhe choo loon to
Saara gyaan, saari chetna kho doonga
Bhaag ke door aaya
Sab jhamele se
Mili jo tum, sab khojna chhod doonga


Santushti ki raah kathin
Samajh ke paar hai yeh baat-cheet
Bas uski parwah har din

Aage har woh baat kahunga
Jiske liye tum zimmedar ho
Main to azaadi paalu tumse
Tum meri likhi kitaab ho

Tumhari khushboo ki aadat hai
Mujhse milke ubharne ki
Tumhari diary ke kaagaz mein
Dabe iss verse ke panne kai

Hum kuch paa lete saath
Ab main azaad hoon, tum azaad ho
Hum kuch saath hi karte art
Kher, mujhe jo pasand thi
Abhi bhi mere paas ho


Jitna jaane diya, utna le gayi tum
Wahi duniya ke liye aaj ho
Kanoon kaayde niyam
Anushaasan dharm adhiniyam
Kya pehle se kam hai jo tum ek aur leke aayi ho?
Mujhe jeene ka tareeka sikha rahi ho
Phoolon ka baagicha ghooma rahi ho
Tumhe soongh loon
Toh saari ulti-seedhi baatein soch loonga

Tumhe ghoor loon
Sasti farzi baatein bol doonga
Hamari kismat ki aadat hai
Mil ke bichhadne ki

Tumhare aaine ke bagal mein
Lage hamare paanv ke dhabbe kai
Hum kuch paa lete aaj

Ab main barbaad hoon
Tum barbaad ho
Main kisi aur ka
Tum kisi aur ke paas ho

Tumhe dhoondhta hoon har shakl mein
Inn ishq mohabbat ke lafdon se
Main azaad hoon
Tum benaqaab ho

Kanoon kaayde niyam
Anushaasan dharm adhiniyam
Kya pehle se kam hai jo tum ek aur leke aayi ho?

Tere zehar ke hue hum aadi
Ke barbaadi mein mile samadhi
Ye mardo ka shauk hai shayad
Tere ishq mein duniya jala di
Saare mareez dil de
Saare mareez dil de
Darda che full khilde aaj
Isq te khel chalde

Songtext kommentieren

Log dich ein um einen Eintrag zu schreiben.
Schreibe den ersten Kommentar!

Quiz
Welcher Song ist nicht von Robbie Williams?

Fans

»Kanoon« gefällt bisher niemandem.