Songtexte.com Drucklogo

Safa Songtext
von Samar Mehdi

Safa Songtext

Kesariya ho ya hara ho baalam
Ya ho kaala, ya gora, ya neela, ya peela!
Jab dil se dil ka taar juda ho
To saara jag rangeela!
Phir aaye nahi koi raaste
Na aam-aavaam, na tere saam-dhaam!
Jab dil se dil ka taar juda ho
Koi rok sake hai kya?
Par is baat pe mai.n tay hoo.n
Tu hai to mai.n hoo.n
Tu hai to mai.n hoo.n
Jo boyega, seenchega wahi
Dil jo jakde, kyu.n pakde wahi?
Dil pe bojha liye dhhoye tu hi
Ismei.n jo khoya lautega nahi
Karei.n rehmat aa mil kar!
Tu aazaad dil kar!
Aham se, badi se
Safa kar khud ko khudi se
Chhorho ab ye ranjishei.n dil saaf karei.n
Jo bhi giley shikwey hai.n, sab maaf karei.n
Chal manfi hataein!
Aa nafrat mitayein!
Bhula kar, dua kar
Safa kar khud ko khudi se
Humsaaye hum saare, saare hum, saaye hai.n
Koi na kisi se bada urooj pe inkesaari hai
Humsaaye hum saare, saare hum saaye hai.n
Koi na kisi se bada urooj pe inkesaari hai
Humsaaye hum saare, saare hum saaye hai.n
Saare hum saaye hai.n, humsaaye hum saare
Humsaaye hum saare, saare hum saaye hai.n
Saare hum saaye hai.n, humsaaye hum saare

Songtext kommentieren

Log dich ein um einen Eintrag zu schreiben.
Schreibe den ersten Kommentar!

Quiz
Cro nimmt es meistens ...?

Fans

»Safa« gefällt bisher niemandem.