Songtexte.com Drucklogo

Hai Bahut Mashoor Yeh Kissa Songtext
von Mukesh

Hai Bahut Mashoor Yeh Kissa Songtext

Hai bahut mashhoor ye qissa umr faruq ka
Aaj bhee duniyaa mein hai charchaa umr faruq ka

Jab kilaafat ka sharaf hasil hua faruq ko
Mominon kee fikr rahtee thi sada faruq ko
Kaam aathe the har ek majaboor ke hazarat umr
Shauq se karte the khud har ek kee kidamat umr

Firte-firte ek din pahunche umr ek ghar ke paas
Dekhte kya hain, vahaan baithee hai ek aurat udhaas
Degchi chuulhe pe thi aur ro rahe the uske laal
Jab kiya hazarat umr ne jaa ke aurat se savaal

"ro rahe hain kis liye bachche? ye kya hai maajaraa"
"bhukh se rote hain ye bachche," ye aurat ne kahaa
Bole hazarat, "degchi mein pak raha hai kya? kaho
Kis liye gamagin ho? jo kuch bhee ho dukhada kaho"

Bolee vo aurat ki paani se bhari hai degchi
Kyonki main bacchon ko bahalaati hoon is soorat se hee
Uf, tarasate hain ye bachche dane-dane ke liye
Kuch nahin hai mere paas inako khilaane ke liye


Tisare din ka hai faaqa mere bacchon par, huzur
Mera koyi bhee yahaan waali nahin nazadik-o-door
Roe us ko dekhakar is haal mein hazarat umr
Aa gae foran hee baitulmaal mein hazarat umr

Aataa, kapadaa, ghi, chhuhaare aur raqam lekar umr
Gamazada aurat ke ghar kee sidh daude jald kar
Peeth par dekha umr ke boj to bola ghulaam
"boj uthaakar mujh ko chalne dijie, ai nek naam"

Ye umr bole, "agar ye boj main de doon tuje
Hashr ke din kya sazaa degaa naa jaane rab muje"
De diya dukhiya ko saba saamaan laakar aapane
Aur khilaayaa sabko khud khaanaa pakaakar aapane

Kha liya bacchon ne aur aurat ne khaanaa jis ghadi
Ho gae hazarat umr khush dekhakar unki khushee
Aapako dekar duaen phir ye aurat ne kahaa
"kaash mil jaataa koyi hamko caliph aap sa

Hum garibon kee umr, koyi khabar rakhte nahin
Aish mein hain mast, dukhiyon par nazar rakhte nahin"
Leke us dukhiya kee baathon ka asar hazarat umr
Khamoshi se laut aaye apanae ghar hazarat umr


Subah us aurat ko phir faruq ne bulaava liya
Aur vazif uska baitulmaal se jari kiya
Hoke sharminda umr ne phir ye aurat se kahaa
"dukh bahut pahunchaa hai tum ko meri gafalat se sada

Tum muje kar do muaaf, itanee hai meri iltija
Tum jo mujh ko baksh do to baksh de mujh ko khuda"
Saaree duniyaa mein hai charchaa har kaheen faruq ka
Koyi bhee insaaf mein sani nahin faruq ka, koyi...

Songtext kommentieren

Log dich ein um einen Eintrag zu schreiben.
Schreibe den ersten Kommentar!

Quiz
Welcher Song kommt von Passenger?

Fans

»Hai Bahut Mashoor Yeh Kissa« gefällt bisher niemandem.