Songtexte.com Drucklogo

Chand Raat Tum Ho Saath Songtext
von Lata Mangeshkar & Kishore Kumar

Chand Raat Tum Ho Saath Songtext

Chand raat, tum ho saath
Kya karein, aji, ab toh dil machal-machal gaya
Chand raat, tum ho saath
Kya karein, aji, ab toh dil machal-machal gaya

Dil ka aitbaar kya
Kya karoge ji, kal jo yeh badal-badal gaya
Dil ka aitbaar kya
Kya karoge ji, kal jo yeh badal-badal gaya

Julmi nazar, kaisi nidar dil chura liya
Jaane kis ajab se desh mein bula liya
Julmi nazar, kaisi nidar dil chura liya
Jaane kis ajab se desh mein bula liya

Yeh bhi koi dil hai kya
Jahan mauka mila fisal-fisal gaya

Chand raat, tum ho saath
Kya karein, aji, ab toh dil machal-machal gaya
Dil ka aitbaar kya
Kya karoge ji, kal jo yeh badal-badal gaya


Suniye zara, maine kaha, "Mat sataaiye
Apne aap apni raah laut jaaiye"
Suniye zara, maine kaha, "Mat sataaiye
Apne aap apni raah laut jaaiye"

Yeh woh raahein nahin
Jispe chal ke koi sambhal-sambhal gaya

Chand raat, tum ho saath
Kya karein, aji, ab toh dil machal-machal gaya
Dil ka aitbaar kya
Kya karoge ji, kal jo yeh badal-badal gaya

Behke qadam, ab toh sanam baah thaam lo
Apni nazar, apni nigaahon se kaam lo
Behke qadam, ab toh sanam baah thaam lo
Apni nazar, apni nigaahon se kaam lo

Aapka kya gaya
Phool sa dil mera kuchal-kuchal gaya

Chand raat, tum ho saath
Kya karein, aji, ab toh dil machal-machal gaya
Dil ka aitbaar kya
Kya karoge ji, kal jo yeh badal-badal gaya

Songtext kommentieren

Log dich ein um einen Eintrag zu schreiben.
Schreibe den ersten Kommentar!

Beliebte Songtexte
von Lata Mangeshkar & Kishore Kumar

Quiz
Wer ist gemeint mit „The King of Pop“?

Fans

»Chand Raat Tum Ho Saath« gefällt bisher niemandem.