Songtexte.com Drucklogo

Day One Songtext
von Delhivision

Day One Songtext

Iss duniya ke karnamo se
Inn chaar din ke yaaron se
Gaddari se, wafadari se
Thak gaya hoon mai

Concrete ke jungle mai
Salary ke dangal mai
Nahi chhipa hai koi raaz
Na koi baat hai khaas

Mujhe hasna nahi aata,
Main kya karun?
Tumhare taano meini hi doob maru
Meri khushiyan tamaam hain,
Par tumse ladna mera kaam hai
Inn farzi superstars se,
Nakli iss pyaar se


Haan lambe hain mere baal,
Main bajata hoon guitar
Par tum thhe hi kab mere dost
Tumhare kehne ke akhbaaron se
Inn jhoothe afsaano se

Kis baat ka tumhe ghamand hai
Jab darvaaze saare band hain
Koi bhookha baitha chowki pe,
Toh koi pitt raha hai hockey se
Yeh saari mehnat bekaar hai
Har jagah jo ha-ha-kaar hai

Buddhon ke sar par taaj
Kamzor yeh samaaj
Bas ho gaya main bore
Tumhari ghatiya kitaabon se
Inn future ke khwaabon se
Mujhe door karo insaano se

Namashkaar, aapka iss album mein swagat hai
Aap humare gaane sunne aaye, humein bada achha laga
Issi baat pe,
GADHE KE LU-

Songtext kommentieren

Log dich ein um einen Eintrag zu schreiben.
Schreibe den ersten Kommentar!

Fans

»Day One« gefällt bisher niemandem.