Songtexte.com Drucklogo

Aag Songtext
von Delhivision

Aag Songtext

Inn aansuon mein
Yeh khoon kyun hai, maa?
Hawao mein bhi, barood hai mila hua
Woh door hain humare inn makaano se
Do jahaazon ke hi sannaato mein
Hai jinka ghar basa hua

Inn goliyon pe kyun likha unhi ka naam hai?
Kya marke mitna hi inn vaadiyon ka kaam hai?
Suno chhipa nahin hai zakhmon mai koi khazana


Yeh aag jo barasti hai,
Isme mausam ki kya galti hai?
Taiyaar hain auzaar, bahane hain hazaar
Manzil yaha hai, maut hai uss paar

Odh kafan ghar aata hai woh
Kisi ne shayad usse kaha tha ki,
"Yeh jung intekaam hai"

Mujhe toh lagta hai yeh jung ek bazaar hai
Aur jo bhi jeete, woh tumhari-meri haar hai
Woh sunke hasste honge nafraton ka yeh taraana

Yeh aag jo barasti hai,
Isme mausam ki kya galti hai?
Taiyaar hain auzaar, bahanein hain hazaar
Manzil yaha hai, maut hai uss paar

(Guitar Solo: Aditya Sarkar)

(Guitar Solo: Jaiditya Jha)

Songtext kommentieren

Log dich ein um einen Eintrag zu schreiben.
Schreibe den ersten Kommentar!

Fans

»Aag« gefällt bisher niemandem.