Songtexte.com Drucklogo

Qaabu Songtext
von Big Scratch

Qaabu Songtext

Mere gardan pe shaitaan ke do haath hai
Ya toh khulke mujhko jeene de yaa maar de
Yeh awaazein mujhpe Qaabu paana chahti hai

Main mere andar ke awaazon ka shikaar
Tujhko saza mili bas ab baaki banna gunehgaar
Naazuk dil tu hai kamzor, usko kar de mere naam
Bharke patthar usme uska hum bana lenge auzaaaaar

Apnaale nafrat isse darne ki kya baaat
Tu bhi un jaisa hai tujhme basta mujhsa ek shaitaaan
Maafi aur kamzori mein farq nai
Insaan karta maaf bas tabhi jab usko kamzori pe naaz

Hai tujhpe patta, mujhse bhaag ke kaha jayega
Tera saaya tere saath hi toh ayega
Cheen saansein ya toh khudki yaa sabhi ki
Tere ghaw ko ab bas kisi ka khoon hi mitaayega

Mere gardan pe shaitaan ke do haath hai
Ya toh khulke mujhko jeene de yaa maar de
Yeh awaazein mujhpe Qaabu paana chahti hai
Mere andar ke awaazon ka shikaar main


Mere gardan pe shaitaan ke do haath hai
Ya toh khulke mujhko jeene de yaa maar de
Yeh awaazein mujhpe Qaabu paana chahti hai
Mere andar ke awaazon ka shikaar main

Haan
Yeh awaazein karti saabit
Ki main hu tere adheen
Mere karmon ka tu maalik hai

Tu jalaade mere rishte
Mere liye tu hi kaafi
Har kisi ke dil mein saazish hai

Tu basaale tera ghar mere in aankhon ke peeche
Aakhir tu hi iska waaris hai

Sabki aankein yahape dhundli
Tujhme dikhta hai shaitaan
Par tu saaf, tujhse waakif main

Ya toh duniya mujhse maafi maang le
Ya toh galti hai jisko usko woh faansi taang de
Bol aakhir kya vichaar hai?
Mujhme khoon ki talab hai
Mujhme kaafi pyaas hai


Jalaade saare rishte naate
Jab tu dard se katra raha tha woh saare kaha they
Pehle jaan le sabhi ki aur phir apni jaan de
Sabki laashein le aur saunp de tu mere haath mein

Mere gardan pe shaitaan ke do haath hai
Ya toh khulke mujhko jeene de yaa maar de
Yeh awaazein mujhpe Qaabu paana chahti hai
Mere andar ke awaazon ka shikaar main

Mere gardan pe shaitaan ke do haath hai
Ya toh khulke mujhko jeene de yaa maar de
Yeh awaazein mujhpe Qaabu paana chahti hai
Mere andar ke awaazon ka shikaar main

Ähnliche Songtexte

Songtext kommentieren

Log dich ein um einen Eintrag zu schreiben.
Schreibe den ersten Kommentar!

Quiz
Whitney Houston sang „I Will Always Love ...“?

Fans

»Qaabu« gefällt bisher niemandem.