Songtexte.com Drucklogo

Aur Songtext
von Antariksh

Aur Songtext

Wahaan
Thoda aage
Ek roshni

Jagmagati
Kheenche mujhe
Apni or

Dheere dheere
Hosh kho raha hoon
Apne mein hi
Main kho raha hoon

Wahaan
Bas thoda aage
Jannat hai basi

Thoda aur bujha lun
Apni pyaas ko


Mujhe aur chahiye
(Aur Aur Aur Aur)
Apni zarooraton se bahut zyada
Shaan aur shohrat
Izzat, daulat
Aur Aur Aur (Aur)
Thoda Aur

Thoda sa
Aur chakh loon
Is mithaas ko

Kuch pal aur
Thaam loon
Tere pyaar ko

Aur
Woah

Kuch pal aur
Thaam loon
Tere pyaar ko

Mujhe aur chahiye
(Aur Aur Aur Aur)
Apni zarooraton se bahut zyada
Shaan aur shohrat
Izzat, daulat
Aur Aur Aur (Aur)
Thoda Aur

Songtext kommentieren

Log dich ein um einen Eintrag zu schreiben.
Schreibe den ersten Kommentar!

Fans

»Aur« gefällt bisher niemandem.