Songtexte.com Drucklogo

Do Kadam (from “Meenaxi”) Songtext
von A. R. Rahman & Sonu Nigam

Do Kadam (from “Meenaxi”) Songtext

Zindagi haath milaa saath chal saath mein aa
Umr bhar saath rahee
Do katam aur sahee do katam aur sahee
Do katam aur sahee do katam aur sahee

Koyi sooraj kee dagar koyi sone kaa nagar
Chaand ke rath pe chale jahaan tehre ye nazar
Dhup dariyaaon mein hai phir safar paaon mein hai
Dil kaa aavaara diya dusre gaanv mein hai
Aao chale hum vahee

Do katam aur sahee do katam aur sahee
Do katam aur sahee do katam aur sahee


Khwaab dhaalte hain jahaan dil pighalate hain jahaan
Aao chalte hain vahee vo zamin door nahin
Dosti hogee vahaan raushnee hogee vahaan
Us ujaale ke liye jal chuke lakhon die
Ek hum aur sahee

Do katam aur sahee do katam aur sahee
Do katam aur sahee do katam aur sahee

Kiski awaz hai sun ye naya saz hai sun
Kaun rahata hai sada chal ke dekhen zaraa
Raah viraan sahee raat sunsaan sahee
Har ghadi saath rahe kithne gam saath sahee
Thode gam aur sahee

Do katam aur sahee do katam aur sahee
Do katam aur sahee do katam aur sahee

Songtext kommentieren

Log dich ein um einen Eintrag zu schreiben.
Schreibe den ersten Kommentar!

Quiz
Wer besingt den „Summer of '69“?

Fans

»Do Kadam (from “Meenaxi”)« gefällt bisher niemandem.